Thursday, July 9, 2020

Film Kya Hai?

Film Kya Hai?

Hm sab Akshar Television pr aneko filmein dekhte hain. Flimein hamein kaafi manoranjak lagti hain. Lekin, kya hamne soncha hai ki uss film ko banne mein kitni mehnat lagti hai? Usme kitne actors, actress, artist, jounior artist parde pr aane wale, parde ke peeche rehne wale logon ki mehnat hoti hai. Filmein hmaare manoranjan k liye hoti hain. Lekin kya hamne kabhi ye soncha hai ki film kya hain? Ek writer ne bade hi sundar sabdon mein kaha hai…

“Film ek sapna hai Jismein hm Kahaniyan likhte hain, Unn Kahaniyon mein kuch kirdar dalte hain, un kirdaron ko kuch sabd dete hain. Aur fhir ek din ek actor aa kr uss kiradar aur unn sabdon mein jaan daal deta hai. Aur phir film taiyaar ho jati hai.”

Darasal wo sapna ek idea pr nirbhar aur aadharit hota hai. Aur wo idea writer ke dimaag mein hota hai. Writer ke dimag mein wo idea uss writer ke aas-paas ke paryawaran  tatha desh, aur duniya mein ho rahe gatiwidhiyon ko dekh kar aata hai. Aur jo kuch bhi saare prakriyaaon dwara bade parde pr aata hai wahi film hai.






















No comments:

Post a Comment

How Corruption Impact Human Rights?

Corruption severely harms state academies and a state's ability to uphold, defend, and realize human rights—especially for disadvantaged...